Jaisay mairay Malik
Roshni ko Latay Hain,
Phir Wo ussay
Wapas Lajatay Hain.
Mujh ko bhi yunhi
Iss din ki tarhan
Aik din Wo mujhay
Wapas LayJaaingay
Jaisay mairay Allah,
roshni ko Latay Hain
Phir Wo ussay
Wapas Lay Jatain Hain.
Mujh ko bhi yunhi
Aik din ki tarhan,
Wo Apni Roshni Main
Wapas Bulalain Gae
Tum bhi sub ye jaan lo (oo oooooo oo)
apnay Rub Ko pehchan lo
Ye zindagi bus aik imtihan hay
Tum bhi sub ye maan lo
Apni kitab parh lo
yahan kutch nahi
duniya ki ye zindagi
Jaisay mairay Malik
Andhairay ko Latay Hain,
Waisay hee, phir Wo subhay ussay
Wapas Lay Jatay Hain.
Tum bhi sub ye jaan lo (oo oooooo oo)
apnay Rub ko pehchan lo
Ye duniya aik khail aur mazzaq hay.
Tum bhi sub ye maan lo
apnay Rasool jaan lo
yahan kutch nahi
duniya ki ye zindagi
yahan aur kutch nahin
duniya ki ye zindagi
Yahan aur kutch nahin
Duniya ki ye zindagi...
Jaisay mairay Allah
Rath ko BuLatay Hain
waisay he, phir Wo ussay, subhay
Wapas Lay Jatain Hain.
Tum ko bhi Lay jaain gae (oo oooo oo)
Hosh tikhanay aajain gae,
phir Wo sub ko unki qabron say Nikalain Gae
Maira naam, aik lumha
guzrnay aya huin main...
Wo mujhay phir Apni Roshni Main Bulaian Gae,
Tum bhi Mar kay jao gae (oo oooooo)
Jaisay main bhi mur jaaon ga
Phir Wo humain inn qabron
Say Utthaain Gae.
Tum bhi sub ye maan lo
Apnay Rub Ko pehchan lo
yahan kutch nahi
duniya ki ye zindagi
Jaisay Mairay Allah...
Allah mairay Moula
mairay Allah jaisa,......
koi nahin, koi nahin.
aisa koi nahin, koi nahin, koi nahin, koi nahin, koi nahin
Jaisay mairay Rub
Barish ko Latay Hain
Phir wo ussay, Apni hawaon may
Wapas Lay Jatay Hain.
Mujh ko bhi yunhi
In bondon ti tarhan
Apni Roshni Main
Wapas Lay Jaain Gae
In sha Allah
Comments
Post a Comment