Kitaab

Jis Kitaab ko hum nay chor diya
Wo Kitab hee ayayay gi samnay
Jus Kitab ko almariyon par rakh diya
Wo Kitab hee ayayay gi aagay, samnay, tumharay, 
Aur Jis kitab ko hum nay peechay chor diya
Wo kitab hee aagay kaam aani thee

ab sun baita -

Ye jo, 
Kitab hay
Allah ka, Shahkar hay
tu issay chorr kar
jhutin kitabbain parh kay unparh
Apnay aap ko samjhata hay kiya
mitti bhi nahin tu khak yahan
Miljayay ga
apnay Khaliq say
Kheechain gay teri nafs ko tairay halaq say Farishtay,
bataaain gay 
phir tairay Rub tujhay 
tu yahan, 
Baitchtha tha kiya 
baqwass bund kar
kha laaton ka jawab
phir bhi nahin parhay ga tu 
apnay Rub ki Kitaab


Jiss Kitab ko humnay chor diya
Wo Kitab he humaray sath aagay jaayay gi
Aur jis kitab ko hum nay baykar samajh kay phaik diya
Wo kitab hee aakhir, kaam aayay gi.
Aur jus Kitab ko almariyon par rakh kay bhoola diya 
Wo kitab hee aagay Kaam aanay thee.

Aur ye, 
gangster badmashi bund kar
Koi akay maaray ga tairay munn pay do thappar 
Hosh may aajayaya ga
warr jayay ga, taira ye, paisay ka nasha...
tu mitti bhi nahin, tu khak yahan
apni shakal daikh tatti ki tarhan
act aisa karta hay jaisay tu hay koi shehensha
saray tairay ganday baal mund jaain gay yahan
tairi gari nokar chakar aur taira mobile daftar
apna school bag pack kar
mairay samnay kiyun kuttay ki tarhan rota hay
jakay apanay rub kay samnay beg kar...

tu yahan kisi ko nahin palta
tu yahan kisi ko nahin palta
koi yahan kisi ko nahin pal sakta
Ye hay kaam sirf Allah ka. 
tu yahan kisi ko nahin palta
tu yahan kisi ko nahin palta
koi yahan kisi ko nahin pal sakta
Ye hay kaam sirf Allah ka 

jis Kitaab ko hum nay chor diya
wo Kitaab hi aagay yaad ayay gi
Jis Kitab say tum bhagtay ho
Wo Kitab hee aagay Kaam aayay gi
Jus Kitab ko tumnay almariyon par hay sajja diya 
wo kitab kal aik dewar bun kar tumharay samnay aajayay gi

Samjha baita.

tu yahan kisi ko nahin palta
tu yahan kisi ko nahin palta
koi yahan kisi ko nahin pal sakta
Ye hay kaam sirf Allah ka
 
tu yahan kisi ko nahin palta
tu yahan kisi ko nahin palta
koi yahan kisi ko nahin pal sakta
Ye hay kaam sirf Allah ka 

tu yahan kisi ko nahin palta
tu yahan kisi ko nahin palta
koi yahan kisi ko nahin pal sakta
Ye hay kaam sirf Allah ka 

tu yahan kisi ko nahin palta
tu yahan kisi ko nahin palta
koi yahan kisi ko nahin pal sakta
Ye hay kaam sirf Allah ka 

tu yahan ksi ko nahin pal sakta 
Ye hay kaam tairay Rub ka.
koi yahan kisi ko nahin palta
Ye hay kaam sirf Allah ka 

Samjha baita.

mar lay mujhay goli
aur lay lay mairay saray gunha
phir daikh mairay Rub
tairay sath kartay hain kiya.

Comments